Independence day Poem on Independence day

An Independence day poem I found on the internet. Very apt. Go ahead.. read it..

Aao bacchon tumhe dikhayen jhanki hindustan ki.. Aisi taisi hui jahan para desh ke har insaan ki..

Vande maataram, vande maataram…

Khush rehna desh ke bacchon, hum toh safar kar rahe hain.. Desh ki ye raajdhani hai, Delhi iska naam hai.. Auraton ki asuraksha ke liye ye bada badnaam hai…

Balaatkaar ki ghatna, yahan badi hee aam hai… kaanoon vyavastha ki kisi ko nahi pata kiske haath lagaam hai…

Dhajjiyan udi hai yahan jaane kitnonke sammaan ki…  Aao bacchon tumhe dikhayein jhamki Hisdustaan ki…..

Sapnon ki ye nagari hai, Mumbai iska naam hai… Har meter pe khadda yahan ke sadkon ki pehchaan hai….

Har do chaar saal mein yahan par aatanki hamle hote hai…. Log Mumbai spirit pe chalte hai aur Neta gan bas sote hai…

Bollywood ke sitaaron ke case yahan saalon ghasite jaate hai… Kabhī kabhī yahan uttar bharatiya bina baat pite jaate hain…

Deshwaasiyon se ladh kar Vo baat karein maratha sammaan ki… Aao bacchon tumhe sikhaayein Jhamki Hisdustaan ki……

Ye desh ki seema rekha hai, Jahan tainaat hamaare jawaan hai…. Desh ki raksha mein jaane Kitnon ne tyaage praan hai… Baadh se lekar dushman sena se ladhna, sab inke hee kaam hai… Inhi ke kaaran hum sabko, apne gharon mein aaraam hai…

Phir bhi koi na inko pooche jab jaan jaaye jawaan ki… Aao bacchon tumhe sikhaaye Jhamki Hisdustaan ki…

Ye hai apne desh ki sansad kabhi nahi ye chalti hai… loktantra ki chita mein yahan bas aahuti hee dalti hai… Shista bahas ki jagah yahan bas chilla chilli chalti hai…. Zara baitho aur socho toh ye apni hee toh galati hai… Vote dhyaan se daalo tum, baat suno ye kaam ki… Aao bacchon tumhe sikhaayein, jhamki Hindustaan ki…

 

Truly a very apt description of our country, unfortunately… Great job by the actual writer of this poem.

Source : http://my.fakingnews.firstpost.com/2013/08/15/independence-day-poem/